Ruh-e-awara
yas-KHez subhon se
be-sukun shamon se
bhagne ki kawish ne
kitni rahguzaron ke
pech-o-KHam ke jalwon se
aashna karaya hai
dar-ba-dar phiraya hai
jaane kab ye hosh aaya
subh-o-sham be-mani
be-sukun-e-be-ummid
phir to silsila nikla
lamha-ha-e-kawish ka
chain kho gaya din ka
nind uD gai shab ki
justuju ka ye chakkar
khinch le gaya har pal
jaane kis taraf lekin
har qadam hua ehsas
main gunah karta hun
umr kyun ganwata hun
kawishon ka kya hasil
har qadam sameTe hain
KHar na-umidi ke
ek din ka qissa hai
chalte chalte pahuncha hun
ek jagah jo viran thi
kuchh daraKHt phaile the
ja-ba-ja pareshan se
ek daraKHt par gidh the
intizar mein baiThe
aur maqbare the kuchh
pur-sukun tha mahaul
dil-pasand tha behad
jaane kyun ye lagta tha
apni subh shamon se
apni be-sukuni se
apni na-umidi se
chhuTne ka waqt aaya
pai-ba-pai har ek lamha
hosh ho rahe the gham
aur dil ko lagta tha
zist wahm ho jaise
KHwab ya ki afsana
dafatan uThi ek chiKH
ruh tak taDap uTThi
chiKH jaane kis ki hai
hae ye to meri hai
aur barq ki surat
main wahan se palTa hun
is KHamosh aalam se
be-KHudi ki duniya se
jab palaT ke dekha hai
ruh muskuraati thi
meri ruh-e-awara
aur hasin lagti thi
(1116) Peoples Rate This