Mazdur
shahid-e-dahr ki taswir banane wale
apni taswir ki jaanib bhi zara ek nazar
ai har ek zarre ki taqdir banane wale
apni taqdir ke KHakon ko faramosh na kar
teri taqdir hai aaina-e-taqdir jahan
KHub malum hai tera gham-e-tanha mujh ko
tujh mein uThne ke nishan tujh mein sambhalne ke nishan
teri surat mein nazar aata hai farda mujh ko
muntashir ho ke zamane mein hua KHar-o-zabun
ho munazzam to qawi tujh sa zamane mein nahin
an-ginat hath tere jab bhi uThe hain mil kar
tere qadmon pe jhuki aa ke chaTanon ki jabin
KHaliq-e-nan-e-jawin tu hai ziyan teri hai
fikr ki baat nahin sara jahan tera hai
quwwaten tujh mein jo hain un ki KHabar tujh ko nahin
jo ayan hai wo tera hai jo hai nihan tera hai
gham ko sine mein daba rakkha hai tu ne lekin
gham baDi chiz hai to us se koi kaam to le
tishnagi baDh ke kahin tera gala ghonT na de
mai bhi mil jaegi saqi se magar jam to le
(955) Peoples Rate This