Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_54273635d2054a6cc20535208801f4cb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Us Shakar-lab Ka Main KHayali Hun - Daud Aurangabadi Poetry In English - Darsaal

Us Shakar-lab Ka Main KHayali Hun

us shakar-lab ka main KHayali hun

is sabab shakkarin-maqali hun

jab sun teri bhuwan ki bait kaha

tab sun main sani-e-hilali hun

dil nahin tujh KHayal sun KHali

is sabab surat-e-KHayali hun

kyun nahin mujh shikast mein aawaz

kya magar kasa-e-sifali hun

mujh mein izhaar-e-qal nin hargiz

bas-ki main aashiqan mein haali hun

tujh kaf-e-pa ki intizari mein

farsh hone kun naqsh-e-qali hun

kan hai is waqt mein 'wali' 'daud'

jo kahun main suKHan ka wali hun

(936) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Shakar-lab Ka Main KHayali Hun In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. Us Shakar-lab Ka Main KHayali Hun is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem Us Shakar-lab Ka Main KHayali Hun for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download Us Shakar-lab Ka Main KHayali Hun in PDF.