Teri Ankhiyan Ke Tasawwur Mein Sada Mastana Hun
teri ankhiyan ke tasawwur mein sada mastana hun
dekh kar zanjir tere zulf ki diwana hun
gah sair-e-bostan karta hun gahe sair-e-bazm
gah tere ishq mein bulbul hun gah parwana hun
gah misl-e-barhaman hun ai sanam zunnar-band
hat mein zahid ke gahe subha-e-sad-dana hun
kiya hua gar hai dil-e-sad-chaak mera tira-baKHt
husn ki zinat hun tere surma hun gar shana hun
jab sun hai us aashna ki aashnai ka KHayal
nin raha hun aap mein, main aap sun begana hun
gosh rakh mera suKHan sunta hai har ahl-e-suKHan
jab sun main bahr-e-suKHan ki sip ka durdana hun
hai azal sun jalwa-paira dil mein hubb-e-murtaza
is sabab 'daud' daem dushman-e-but-KHana hun
(949) Peoples Rate This