Mujh Sath Sair-e-bagh Kun Ai Nau-bahaar Chal
mujh sath sair-e-bagh kun ai nau-bahaar chal
bulbul hai intizar mein ai gul-izar chal
karne kun qatl aashiq-e-jaan-baz ke sanam
le tegh-e-naz hath kamar rakh kaTar chal
karne nazara bagh ka nikla hai gul-badan
barja hai har chaman sun gar aawe bahaar chal
us gul-badan sun zauq ham-aghosh hai agar
ho chaak sina gul ke naman ban ke haar chal
us shama-ru ke wasl ka gar tujh kun shauq hai
mahfil mein aashiqan ki ho parwana-war chal
aaKHir asir-e-umr ka hai is jahan sun kuch
is waste hai dam ki jaras mein pukar chal
gar azm hai buzurgi is aalam mein hue husul
aamal-nama jag mein apas ka sanwar chal
gar yar ke hai wasl ki neamat ki ishtiha
har shai sun rah u pas wahan lag nahaar chal
awwal KHudi ke ghar kun ai 'daud' toD saT
mai-KHana-e-visal mein tab sidh-bisar chal
(1039) Peoples Rate This