Le Dam-e-nigah-e-yar Aaya
le dam-e-nigah-e-yar aaya
karne kun mujhe shikar aaya
kyun aawe na mujh badan sun KHush bas
mujh bar mein wo gul-izar aaya
KHat dekh tere ruKH upar aaghaz
aaina upar ghubar aaya
jis baj thi dil kun be-qarari
wo dil ka mere qarar aaya
zahid ne apas ka zohd taqwa
kuche mein tere bisar aaya
nikla hai raqib-e-gul-badan sat
le gul ki panah KHar aaya
mujh parda-e-dil pe saz kar gham
ho nala mera sitar aaya
shabnam nahin har sahar ai 'daud'
tujh gham sun gul-e-ashk-bar aaya
(768) Peoples Rate This