Jab Wo Mah-e-ruKHsar Yakayak Nazar Aaya
jab wo mah-e-ruKHsar yakayak nazar aaya
us mah ki talat sun suraj dil mein dar aaya
tere ruKH-e-raushan kun siyah KHat mein sirijan
dekha so kaha abr-e-siyah mein qamar aaya
gulshan mein chal ai sarw-e-sahi sair ki KHatir
tujh waste le gul tabaq-e-naqd-e-zar aaya
tujh jam-e-nayan mein hai ajab baada-e-sarshaar
yak did sati jis ke ho dil be-KHabar aaya
muhtaj-e-kabutar nahin mujh shauq ka nama
qasid ho mera dil le sajan ki KHabar aaya
kahte hain sab ahl-e-suKHan is sher kun sun kar
tujh taba mein 'daud' 'wali' ka asar aaya
(901) Peoples Rate This