Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7ec3da48990e9b94d32eab43bee0099b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Pari-ru Hijab Karte Hain - Daud Aurangabadi Poetry In English - Darsaal

Jab Pari-ru Hijab Karte Hain

jab pari-ru hijab karte hain

dil ke darpan kun aab karte hain

gardish-e-chashm ka dikha yak daur

hum kun mast-e-sharab karte hain

aatish-e-ishq ki agan sun jala

aashiqan kun kabab karte hain

tab dikhla jamal-e-raushan ka

aarsi gharq-e-ab karte hain

bait-e-abru pe til sun kajal ke

nuqta-e-intiKHab karte hain

araq-e-gul-ruKHan ko dekh ushshaq

mail itr-e-gulab karte hain

dekh us ke hina kun mardum-e-chashm

KHun-e-dil sun KHizab karte hain

sun suKHan-dan teri ghazal 'daud'

aafrin kar KHitab karte hain

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Pari-ru Hijab Karte Hain In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. Jab Pari-ru Hijab Karte Hain is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem Jab Pari-ru Hijab Karte Hain for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download Jab Pari-ru Hijab Karte Hain in PDF.