Zindagi Ka Kis Liye Matam Rahe
zindagi ka kis liye matam rahe
mulk basta hai miTe ya hum rahe
dil rahe piri mein bhi tera jawan
aaKHiri dam tak yahi dam-KHam rahe
chahiye insan ka dil ho ghani
pas mal o zar bahut ya kam rahe
kya isi jannat ki ye tahris hai
jis mein kuchh din hazrat-e-adam rahe
wasl se matlab na rakh tu ishq ka
dam bhare ja dam mein jab tak dam rahe
lag ek din ban ke rahti hai lagaw
han lagawaT kuchh na kuchh baham rahe
ishq ne jis dil pe qabza kar liya
phir kahan us mein nashat o gham rahe
sharq se jab nur chamka to kahan
barg-e-gul par qatra-e-shabnam rahe
husn ki duniya ka hai daem shabab
hashr tak us ka yahi aalam rahe
hai surur-e-husn 'kaifi' la-yazal
dar-KHur-e-zarf us mein besh o kam rahe
(1178) Peoples Rate This