Rahat Kahan Nasib Thi Jo Ab Kahin Nahin
rahat kahan nasib thi jo ab kahin nahin
wo aasman nahin hai ki ab wo zamin nahin
ho josh sidq-e-dil mein to rahat baghal mein ho
qaem ye aasman rahe ya zamin nahin
hubb-e-watan ko himmat-e-mardana chahiye
darkar aah sina-e-andoh-gin nahin
KHun-e-dil-o-jigar se ise sinch ai aziz
kisht-e-watan hai ye koi kisht-e-jawin nahin
haq-goi ki sada thi na rukni na ruk saki
kab war ki sinanen galon mein chubhin nahin
dagh-e-gham-e-watan hai nishan-e-aziz-e-KHalq
dil par na jis ka naqsh ho ye wo nagin nahin
jang-e-watan mein sidq ke hathiyar ka hai kaam
darkar is mein aslaha-e-ahin nahin
ghar-bar tera par tu kisi chiz ko na chheD
ye baat to harifon ki kuchh dil-nashin nahin
jis baat par aziz aDe hain aDe rahen
kahne den un ko unche gale se nahin nahin
kya jaane dil jigar ko mere jo ye kah gaya
daman bhi tar tar nahin aastin nahin
mabud hai watan hun parastar usi ka main
dair o haram mein jo jhuke ye wo jabin nahin
'kaifi' isi se KHairiyat-e-hind mein hai der
hubb-e-watan ka josh kahin hai kahin nahin
(1129) Peoples Rate This