Parda-dar Hasti Thi Zat Ke Samundar Mein
parda-dar hasti thi zat ke samundar mein
husn KHub khul khela is sifat ke manzar mein
husn ishq mein hai ya ishq husn mein muzmar
jauhar aaine mein ya aaina hai jauhar mein
ishq-e-mahshar-ara ki tur par giri bijli
husn-e-lan-tarani ki rah saka na chadar mein
dekh ai tamashai gul hai rang-o-bu bilkul
imtiyaz na-mumkin hai arz se jauhar mein
gul mein aur bulbul mein kaun jaane kya guzri
chashm-posh masti thi is barahna manzar mein
upchi banate hain husn ko suKHan go kyun
kaT in adaon ka kab hai tegh-o-KHanjar mein
fart-e-soz-e-ulfat mein dekh kar sakun dil ka
bijliyan machalti hain baadalon ke mahshar mein
chaaragar ko hairat hai irtiqa-e-wahsaht se
panw mein jo chakkar tha aa raha hai wo sar mein
hasrat aarman ki ho kahna se gunjaish
hai wahi mere dil mein hai wahi mere sar mein
hon wo rind ya sufi mast us ki dhun mein hain
jaane kitne mai-KHane bhar diye hain kausar mein
charKH kya utar aaya aaj farsh-e-giti par
rind bhi hain chakkar mein mai-kada bhi chakkar mein
mai wo hosh par afgan aur nazar wo sahba-pash
mast kyun na ho 'kaifi' ek do hi saghar mein
(964) Peoples Rate This