Husn-e-azal Ka Jalwa Hamari Nazar Mein Hai
husn-e-azal ka jalwa hamari nazar mein hai
jo tur par hua tha dil-e-dida-war mein hai
dair o haram mein kis liye aawara-gardiyan
jis ki tujhe talash hai wo dil ke ghar mein hai
jo dekhne ki aankh hai tujh ko nahin mili
wo nur qad mein warna shajar mein hajar mein hai
KHamoshiyon mein mahfil-e-anjum ki us ko dekh
hangama-mast kyun tu numud-e-sahar mein hai
dekha hai aur phir nahin aaya nazar tujhe
wo husn wo jalal jo shams o qamar mein hai
us ko natije illat-e-ghai ki is ko dhun
farq is qadar hi be-KHabar o ba-KHabar mein hai
DhunDa hai jis ne us ne hi paya suna nahin
likkha hua ye hukm qaza-o-qadar mein hai
han han KHuda KHuda hi hai aur hai bashar bashar
is uqde ka jo hal hai wo qalb-e-bashar mein hai
wo bhi to hain nazara-e-kul juz mein hai jinhen
poshida raaz-e-did to husn-e-nazar mein hai
hai ishq juzw-e-la-yatajazza yaqin jaan
ye qimat-e-majaz-o-haqiqat KHatar mein hai
kya shauq-e-did tujh pe to ghaalib hai lutf-e-did
jo baat tere dil mein hai apni nazar mein hai
nikle na phans ke gesu-e-pur-pech-o-KHam se dil
sahil pe KHak pahunche jo kashti bhanwar mein hai
ulfat hai kis ki kaisi mohabbat kahan ka ishq
madum tu to fikr-e-dahan-o-kamar mein hai
naqis thi ibtida to hai anjam-e-ishq bhi
be-rabti mubtada mein jo thi wo KHabar mein hai
'kaifi' masih-e-sher hain ahbab aur bhi
ek tujh se jaan-e-taza nahin is Dhachar mein hai
(1143) Peoples Rate This