KHush-fahmi-e-hunar Ne Sambhalne Nahin Diya
KHush-fahmi-e-hunar ne sambhalne nahin diya
mujh ko meri ana hi ne phalne nahin diya
chaha nae se riti-riwajon mein main Dhalun
lekin riwayaton ne hi Dhalne nahin diya
ek ek shai badalti gai mere aas-pas
haalat ne mujhe hi badalne nahin diya
chalna tha sath sath hamein umr-bhar magar
na-paedar umr ne chalne nahin diya
dil mai-kade ki samt chala tha magar use
is raste pe aql ne chalne nahin diya
anjam aarzu ka bura hai bas is liye
dil mein kabhi charagh ye jalne nahin diya
'darwesh' be-qarar raha dil tamam-umr
mauqa sukun ka ek bhi pal ne nahin diya
(1088) Peoples Rate This