Jab Mohabbat Ka Kisi Shai Pe Asar Ho Jae
jab mohabbat ka kisi shai pe asar ho jae
ek viran makan bolta ghar ho jae
main hun suraj-mukhi tu mera hai dilbar suraj
tu jidhar jae mera ruKH bhi udhar ho jae
ranj-o-gham aish-o-KHushi jis ke liye ek hi hon
umr us shaKHs ki shahon si basar ho jae
jo bhi dukh dard musibat ka piye wish hans kar
kyun na suqraat ki surat wo amar ho jae
lauT aao jo kabhi ram ki surat tum to
man ka sunsan awadh dip nagar ho jae
kha ke patthar bhi jo muskan bikhere har-su
bagh-e-alam ka wo phaldar shajar ho jae
hum ne jaana hai yahi aa ke jahan mein 'darwesh'
hona chahe jo na hargiz wo bashar ho jae
(1244) Peoples Rate This