Tumhaari Aankhen
tumhaari aankhen tum wahin to baste ho
ek jism ko duniya ne tumhaara nam diya
tumhein paya tumhaari aankhon mein hai main ne
un do palkon ne chhua hai mujhe
tumhaari ungliyon ke jadui sparsh si
mere chehre ki narm gulabi galiyon mein khoi
meri zulfon mein uljhi hui resham se tar-ba-tar ye aankhen
kabhi honTh ban kar tumhaari sanson ki aahaT ko
chupke se mere kanon mein rakh jati hai
tumhaare zehn mein panap rahe har
nazuk jazbaat ki KHushbu hai tumhaari aankhen
mere kanpte honTon pe tumhaare honTon ke
nishan hai tumhaari aankhen
wahi to hai jo hatheliyan ban kar mazbuti se
mera hath thame hue hai ab tak
tumhaare dil si dhaDakti hai tumhaari aankhen
mere ashkon ka har ek qatra
un ki nami mein Dub kar ek ho jata hai
raat ke sannaTe mein mazbut bahen ban kar
apni ThanDak mein sula deti hai
tumhaare qadam ban kar sath chali hai jaise tum chalte
us ne luTa nahin lauTaya hai mujhe apne aap ko
in aankhon mein ek ghar basaya hai main ne
tumhaare jism mein juDi hai magar
meri hai tumhaari aankhen
(859) Peoples Rate This