Pura Chand
pura chand
pura chand nahin diya tum ne mujhe
meri ye nadan shikayat yaad hai tumhein
chhoTe se ghar ki TuTi hui chhat se
chand ko TukDon mein dekha karti thi
tum mujhe dekhte rahte
main chhat mein kuchh DhunDha karti thi
hath baDha kar chhu lun ji karta tha
tumhaare hath mein piroi ungliyan
chhuTa nahin karti thi
kitni raaten isi arman mein guzri
torch se nikalti raushni ki tarah
mere chehre par bikhri thoDi si chandni ko
apni ungliyon se chhu kar
tum kahte the pura chand
aur tumhaari bahon ki ThanDak mein
wo arman gum-shuda hota gaya
rassi pe Tangi tumhaari safed qamis
dekhe bina nind nahin aati ab
tumhaare pyar ke ujalon se behtar
koi aur nur hoga
raat-bhar ka umr-bhar ka
pure chand ka wo adhura arman
so gaya mere bhitar sukun se
apna bhara pura aasman oDh kar
(1033) Peoples Rate This