Kya Wahin Miloge Tum
kuchh dinon se main jab bhi
aaine mein apni halki safed laTen dekhti hun
ek jaana-pahchana rasta nazar aata hai
jis ke ek kinare tum chal rahe ho
dusre pe main chup-chap ajnabi ban kar
tumhaara dhundla sa chehra
wo kali frame wale chashme
kanon ke pas ugi hui
kuchh aisi hi safed lakiren
main tumhein ghaur se dekh nahin pa rahi
bas chalte ja rahi hun tumhaare sath
tum se dur KHamoshi se
is bar gul-mohar ke peD ki taraf nahin
ek Dhalti hui sham ki or
Dubte hue suraj ki taraf
wo safed lakiren ab phail rahi hai
halki sunahri raushni mein chandi si chamakti
wo chamak meri ungliyon mein utar aati hai
tum se dur hun phir kaise
andaruni thakan dhire dhire baDh rahi hai
main pukarna chahti hun tumhein
hath baDha kar chhuna
shayad tum bhi magar
kafi dur aa chuke hai hum
aur achanak wo sham
gahre andhere kuen mein Dubne lagti hai
ek bhanwar mujhe kahin khinch rahi hai
main ab tumhein dekh nahin pa rahi
aur tum bhi mujhe DhunDh rahe honge
tum ab bhi dur ho ya pas
kis kinare pe ho ab tum
kahin ye raat to nahin
wahi raat jis ka tum zikr kiya karte the
wahi raat jis ka din nahin hota
jahan hum mil sakte hai
kya yahin miloge tum mujhe
(1169) Peoples Rate This