Kash
us KHamosh qile ki
saKHt lohe si diwaren
har taraf safed ghamgin parde
wo apni aali-shan kursi par baiThi
koi hisab joD rahi hai
us ka phika sapaT bojhal chehra
jaise bhitar ka ek rup
us ke upri rup rang ko kha chuka ho
achanak darwaze ki dastak
dabi hui siskiyon ka shor
unche darwaze ko kholte hi
us ki bhaw-wihin aankhon mein
sanwednaon ki halchal ho uThti hai
subh ki os narm dhup mein
nazuk kopal sa ek bachcha
apni chiKH ko gale mein Thus kar
us ki taraf qile ki taraf
dauDa aa raha tha
abhi gale laga kar ro paDega jaise
wo ek Tuk use dekhti rahti hai
magar gale nahin laga pati wo
us ka hirdai kahta hai ki bhej de use
wapas us ke ghar jahan
us ka intizar ho raha hoga
is tiwr ichha ke sath
barson se nirlap rahi us ki aankhon mein
dabi hui bhawnaen gati-man ho kar bahne lagti hai
he ishwar wo aankhen mund leti hai
mez par rakhi hisabon wali kitab dikhai deti hai
aur nau-pallawit paude ki
nazuk Dali jaisi ungliyan tham kar
wo use qile ke bhitar le aati hai
toting darwaza karkash aawaz ke sath
band ho jata hai
wo bilakhte hue bachche ko aaghosh mein le leti hai
KHamosh kamre mein us masum ki
dhaDakne sansen siskiyon ka shor
tez ho uThta hai
wo kas ke us bachche ko
apne bhitar sameT kar gahri nind sula deti hai
jab koi shor baqi nahin rahta tab
us ke bhitar ka rudan bahar aane ko taDapta hai
magar us ke adh-mare man mastishk
use yaad dilate hai ki
maut matam nahin mana sakti
kash mujhe bhi haq hota
darwaze pe aae ko wapas bhejne ka
kash
bhaari qadmon pe uTh kar wo
us kitab mein kuchh joD deti hai
din ka ujala surya ka tej
lajjit ho kar sar jhuka lete hai
hawa bhi chhobhit ho kar nili paD jati hai
sari sirishTi andhkar ki gart mein Dubne lagti hai
(1088) Peoples Rate This