Ek Aur Sharabi Sham

chalo aaj ek aur koshish hogi

phir ek sham Dub jaegi sharab mein

zindagi ke andhere sard TukDe

jam mein ghul kar honThon ke hawale honge

zaban pe thirakti tishnagi dhire dhire

halq tak phail jaegi

KHamoshi ka libas pahne

kone mein qaid tanhai riha hogi

aur nas nas mein dauD kar raqs karegi

mere lahu mein bah rahe us be-qabu shaKHs ko

sambhaalne ki mashaqqat hogi

sulagti ruh us ki yaadon ki bhap mein

tap kar surKH lal ho jaegi

aankhon se garm bulbule Tapakne lagenge

jam-dar-jam andaruni ubaal

pighalta jaega

jab aankhon ke paimane bilkul KHali ho jaenge

tab us lal bistar par

meri ninden tumhaare KHwabon ko

aaghosh mein le kar so jaegi

(1929) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aur Sharabi Sham In English By Famous Poet Darshika Wasani. Ek Aur Sharabi Sham is written by Darshika Wasani. Read famous Poem Ek Aur Sharabi Sham for youth and Student by Darshika Wasani. Free Download Ek Aur Sharabi Sham in PDF.