Subh-e-sadiq
rah gaya rah mein jab kuchh bhi na kanTon ke siwa
tirgi jhuT ki jab chha gai sachchai par
ufuq-e-zinda-o-painda-e-nankana se
hans paDi ek kiran waqt ki tanhai par
dil ke sunsan khanDar mein koi naghma jaga
aankh malti hui ek subh bayaban se uThi
fikr aazad hui zehn ke jale TuTe
aur iqan ki lau sina-e-insan se uThi
zahr mein Dub gai thin jo zabanen yaksar
un pe shirini-e-wahdat ke tarane aae
jism marta hai magar ruh kahan marti hai
ruh ek nur hai aur jism thirakte sae
jism kanTon se guzarta hai guzar jaane do
ruh wo phul hai jis par na KHizan aaegi
ruh pi legi jo irfan-o-mohabbat ki sharab
masti-o-kaif hamesha ke liye paegi
pir-e-nangana teri ruh-e-sadaqat ko salam
jawedan parcham-e-ulfat tera lahraata hai
(1849) Peoples Rate This