Ye Kis Ne Kah Diya AaKHir Ki Chhup-chhupa Ke Piyo
ye kis ne kah diya aaKHir ki chhup-chhupa ke piyo
ye mai hai mai use auron ko bhi pila ke piyo
gham-e-jahan ko gham-e-zist ko bhula ke piyo
hasin git mohabbat ke gunguna ke piyo
chhuTe na daman-e-taat bhi waqt-e-mai-noshi
piyo to sajda-e-ulfat mein sar jhuka ke piyo
bujhe bujhe se hon arman to kya farogh-e-nashat
jo so gae hain sitare unhen jaga ke piyo
gham-e-hayat ka darman hain ishq ke aansu
andheri raat hai yaro diye jala ke piyo
nasib hogi bahar-kaif marzi-e-saqi
mile jo zahr bhi yaro to muskura ke piyo
mere KHulus pe shaiKH-e-haram bhi kah uTTha
jo pi rahe ho to 'darshan' haram mein aa ke piyo
(1441) Peoples Rate This