Wo Saliqa Hamein Jine Ka Sikha De Saqi
wo saliqa hamein jine ka sikha de saqi
jo gham-e-dahr se begana bana de saqi
jam-o-mina meri nazron se haTa de saqi
ye jo aankhon mein chhalakti hai pila de saqi
shoala-e-ishq se chhalka de mere shishe ko
aur betab ko betab bana de saqi
haram-o-dair mein baT jate hain rindan-e-wafa
haram-o-dair ki tafriq miTa de saqi
sun raha hun ki mayassar hi nahin duniya mein
ek nigah raaz-e-do-alam jo bata de saqi
KHushk hai mausam-e-ehsas faza pyasi hai
KHum ke KHum sina-e-geti pe lunDha de saqi
phir kabhi hosh na aae to koi baat nahin
aaj hum jitni piyen utni pila de saqi
josh-e-masti mein baghal-gir hun bichhDe hue dil
aaj insan ko insan bana de saqi
zindagi KHwab-e-musalsal ke siwa kuchh na sahi
us ki tabir to 'darshan' ko bata de saqi
(2137) Peoples Rate This