Tujhe Kya KHabar Mere Ham-safar Mera Marhala Koi Aur Hai
tujhe kya KHabar mere ham-safar mera marhala koi aur hai
mujhe manzilon se gurez hai mera rasta koi aur hai
meri chahaton ko na puchhiye jo mila talab se siwa mila
meri dastan hi ajib hai mera masala koi aur hai
ye hawas ke bande hain naseha na samajh sake mera muddaa
mujhe pyar hai kisi aur se mera dil-ruba koi aur hai
mera zauq-e-sajda hai zahiri ki hai kashmakash meri zindagi
ye guman dil mein raha sada mera muddaa koi aur hai
wo rahim hai wo karim hai wo nahin ki zulm kare sada
hai yaqin zamane ko dekh kar ki yahan KHuda koi aur hai
main chala kahan se KHabar nahin ki safar mein hai meri zindagi
meri ibtida kahin aur hai meri intiha koi aur hai
mera nam 'darshan'-e-KHasta-tan mere dil mein koi hai zau-fagan
main hun gum kisi ki talash mein mujhe DhunDhta koi aur hai
(1499) Peoples Rate This