Nigah-e-mast-e-saqi Ka Salam Aaya To Kya Hoga
nigah-e-mast-e-saqi ka salam aaya to kya hoga
agar phir tark-e-tauba ka payam aaya to kya hoga
haram wale to puchhenge bata tu kis ka banda hai
KHuda se pahle lab par un ka nam aaya to kya hoga
mujhe manzur un se main na bolunga magar naseh
agar un ki nigahon ka salam aaya to kya hoga
chala hai aadmi tasKHir-e-mehr-o-mah ki KHatir
magar sayyaad hi KHud zer-e-dam aaya to kya hoga
mujhe tark-e-talab manzur lekin ye to batla do
koi KHud hi liye hathon mein jam aaya to kya hoga
mohabbat ke liye tark-e-talluq hi zaruri ho
mohabbat mein agar aisa maqam aaya to kya hoga
jahan kuchh KHas logon par nigah-e-lutf hai 'darshan'
agar us bazm mein daur-e-awam aaya to kya hoga
(1650) Peoples Rate This