Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_335462f343ab27ba4462db756b09a293, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Libas-e-faqr Mein Hum Ko Jo KHaksar Mile - Darshan Singh Poetry In English - Darsaal

Libas-e-faqr Mein Hum Ko Jo KHaksar Mile

libas-e-faqr mein hum ko jo KHaksar mile

unhin ke dar pe salatin-e-rozgar mile

wo raaz jis se sulagta raha hai dil kah den

hamare dil sa agar koi raazdar mile

sharab KHana-e-chishti mein bhi nazar aae

hamein jo ulfat-e-nanak ke baada-KHwar mile

gham-e-jahan-nigari ka safar-e-qayamat tha

har ek zarre ke sine mein kohsar mile

koi bhi duri-e-manzil nahin agar 'darshan'

jahan ko mera junun-e-KHirad-shikar mile

(1134) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Libas-e-faqr Mein Hum Ko Jo KHaksar Mile In English By Famous Poet Darshan Singh. Libas-e-faqr Mein Hum Ko Jo KHaksar Mile is written by Darshan Singh. Read famous Poem Libas-e-faqr Mein Hum Ko Jo KHaksar Mile for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Libas-e-faqr Mein Hum Ko Jo KHaksar Mile in PDF.