Kisi Ki Sham-e-sadgi Sahar Ka Rang Pa Gai
kisi ki sham-e-sadgi sahar ka rang pa gai
saba ke panw thak gae magar bahaar aa gai
chaman ki jashn-gah mein udasiyan bhi kam na thin
jali jo koi sham-e-gul kali ka dil bujha gai
butan-e-rang-rang se bhare the but-kade magar
teri ada-e-sadgi meri nazar ko bha gai
meri nigah-e-tishna-lab ki sarKHushi na puchhiye
ke jab uThi nigah-e-naz pi gai pila gai
KHizan ka daur hai magar wo is ada se aae hain
bahaar 'darshan'-e-hazin ki zindagi pe chha gai
(1836) Peoples Rate This