Kahin Jamal-e-azal Hum Ko Runuma Na Mila
kahin jamal-e-azal hum ko runuma na mila
mile to husn magar husn aap sa na mila
rahi talash magar dard aashna na mila
hamare baad unhen hum sa ba-wafa na mila
gae hain dair-o-haram mein bhi barha lekin
wo aasra jo diya tu ne saqiya na mila
jo dur the to bahut parsa the ye zahid
jo pas aae to koi bhi parsa na mila
muqable ki jo taqat thi wo ubhar to saki
KHuda ka shukr hai kashti ko naKHuda na mila
jawab-e-jannat-e-rangin sahi teri duniya
magar hamein to yahan lutf ai KHuda na mila
hawa-o-hirs ke lakhon shikar pae magar
koi bhi dard mohabbat mein mubtala na mila
jo chashm-e-mast se chhalka ke de alast ki mai
tere siwa koi duniya mein saqiya na mila
mujhi ko baKHsh diye kul jahan ke aalam
gham-e-jahan ke liye koi dusra na mila
kahun to kis se kahun dil ki baat ai 'darshan'
sune jo dard-e-bashar aisa ham-nawa na mila
(1227) Peoples Rate This