Kab KHamoshi Ko Mohabbat Ki Zaban Samjha Tha Main
kab KHamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main
tha ayan wo raaz-e-dil jis ko nihan samjha tha main
sun raha hun apni KHamoshi ka charcha ku-ba-ku
thi fughan wo bhi jise zabt-e-fughan samjha tha main
aarzi sa aks tha ek iltifat-e-dost ka
jis ko nadani se aish-e-jawedan samjha tha main
tum ne aankhen pher lin mujh se to ye mujh par khula
KHar-zar-e-zindagi ko gulistan samjha tha main
wo bhi nikle barq-o-baad-o-baghban ki milkiyat
chaar tinke jin ko apna aashiyan samjha tha main
kar saken 'darshan' na wo bhi arz-e-haal-e-arzu
jin nigahon ko mohabbat ki zaban samjha tha main
(1117) Peoples Rate This