Jazba-e-dil Ko Amal Mein Kabhi Lao To Sahi
jazba-e-dil ko amal mein kabhi lao to sahi
apni manzil ki taraf panw baDhao to sahi
zindagi wo jo harif-e-gham-e-ayyam rahe
dil shikasta hai to kya saz uThao to sahi
jag uTThegi ye soi hui duniya lekin
pahle KHwabida tamanna ko jagao to sahi
phul hi phul hain kahte ho jinhen tum kanTe
meri duniya-e-junun mein kabhi aao to sahi
tumhein aabaad nazar aaegi ujDi duniya
dil ki duniya ko mohabbat se basao to sahi
zindagi phir se jawan phir se hasin ho jae
un ki aankhon se zara aankh milao to sahi
karte phirte ho andhere ki shikayat 'darshan'
dil ki duniya mein koi dip jalao to sahi
(2027) Peoples Rate This