Hansi Gulon Mein Sitaron Mein Raushni Na Mili
hansi gulon mein sitaron mein raushni na mili
mile na tum to kahin bhi hamein KHushi na mili
na chand mein na shafaq mein na lala-o-gul mein
jo aap mein hai kahin bhi wo dilkashi na mili
nigah lutf ki hai muntazir meri shab-e-gham
sitare Dub chale aur raushni na mili
hamin ko saunp diye kul jahan ke ranj-o-alam
kisi mein aur hamari si dil-dahi na mili
nigah-e-dost ne baKHshi jo dil ko mad-hoshi
sharab-o-jam se hum ko wo be-KHudi na mili
har ek nashat mein pinhan mila nashat ka gham
jo aish se ho basar aisi zindagi na mili
mere KHayal mein hain ye tajalliyan kis ki
andheri raat mein bhi mujh ko tirgi na mili
wahi faza wahi gulshan wahi hawa hai magar
mili jo gul ko wo KHaron ko zindagi na mili
gila karenge na ab mere baad ke rahraw
ki un ko rah-e-mohabbat mein raushni na mili
hazar bar hua KHun-e-arzu lekin
kabhi kisi ko meri aankh mein nami na mili
jo chheDti mere betab dil ke taron ko
kisi bhi saz mein darshan wo naghmagi na mili
(1562) Peoples Rate This