Gulon Pe KHak-e-mehan Ke Siwa Kuchh Aur Nahin
gulon pe KHak-e-mehan ke siwa kuchh aur nahin
chaman mein yaad-e-chaman ke siwa kuchh aur nahin
kahan ki manzil-e-rangin sahar to hone do
hamare KHwab thakan ke siwa kuchh aur nahin
ye sham-e-ghurbat-e-dil hai yahan charagh kahan
KHayal-e-subh-e-watan ke siwa kuchh aur nahin
nigah-e-shauq-e-musalsal usi ko chheDe ja
jabin pe jis ki shikan ke siwa kuchh aur nahin
dayar-e-ishq mein tum kyun khaDe ho ahl-e-hawas
yahan to dar-o-rasan ke siwa kuchh aur nahin
sawad-e-sham-e-KHizan hai to ho hamein kya gham
nazar mein subh-e-chaman ke siwa kuchh aur nahin
kare talash junun zulmat-e-KHirad se kaho
junun kiran hai kiran ke siwa kuchh aur nahin
hamari naghma-sarai ke waste 'darshan'
hawa-e-gang-o-jaman ke siwa kuchh aur nahin
(1190) Peoples Rate This