Chashm-e-bina Ho To Qaid-e-haram-o-tur Nahin
chashm-e-bina ho to qaid-e-haram-o-tur nahin
dekhne wali nigahon se wo mastur nahin
kaun sa ghar hai jawan jalwon se pur-nur nahin
ek mere dil ki hi duniya hai jo mamur nahin
apni himmat hi se pahunchunga sar-e-manzil-e-shauq
lun sahaara main kisi ka mujhe manzur nahin
gham-e-jaanan ko bhula dun na karun dost ko yaad
itna main ai gham-e-dauran abhi majbur nahin
ye mohabbat ki hai qimat ye mohabbat ka sila
ki hamare hi liye ishq ka dastur nahin
donon aalam ko Dubo de jo mai-o-mina mein
chashm-e-saqi ke siwa aur ka maqdur nahin
muskura do to mera ghuncha-dil khil jae
dil kabhi khil na sake aisa bhi ranjur nahin
tum nahin pas magar sath hai yaadon ka hujum
main akela nahin bekas nahin mahjur nahin
aaj kuchh sham se tarik hai dil ki mahfil
tum nahin ho to wo raunaq nahin wo nur nahin
mujh mein himmat hai ki main raaz ko ifsha na karun
ye mera zarf hai ye shewa-e-mansur nahin
kar sakega na juda fasla-e-waqt-o-makan
dur nazron se sahi dil se magar dur nahin
meri taqdir mein 'darshan' hain kisi ke jalwe
shukr sad shukr ki duniya meri be-nur nahin
(1109) Peoples Rate This