Zuhar-e-ashiqi Se Darta Hun
zuhar-e-ashiqi se Darta hun
husn ki barhami se Darta hun
main ne Dali kamand suraj par
phir bhi main raushni se Darta hun
aa basa hun gali mein chiKHon ki
is liye KHamushi se Darta hun
masKH pahchan ho na jae kahin
be-amal zindagi se Darta hun
kuchh safai mein apni kahna hai
par teri munsifi se Darta hun
KHar ko KHar gul ko gul kah dun
main kahan kab kisi se Darta hun
apni tanhai KHub hai 'mohsin'
bazm ki be-ruKHi se Darta hun
(3873) Peoples Rate This