Tamanna Ka Dusra Qadam
waqt aur na-waqt ke ma-bain
kitna fasla
kitna KHala
kitni ghaneri KHamushi hai
jaanne ki koshishon mein
aankh ki aur dil ki ujli aankh ki
binaiyan kam paD gai hain
sochta hun
soch ka koi parinda bhej kar
is hadd-e-la-had ka
koi andaza kar lun
KHud se kahta hun
tujhe malum hai
ye kaam sochon ke parindon ka nahin
taKHil ka hai
jo parinda ghaib ki is jhil ka hai
jis mein sab na-didgan ke
aks bante raqs karte hain
inhi na-didgan mein
waqt aur na-waqt ke ma-bain ka
wo fasla aur wo KHala aur wo ghaneri KHamushi
bhi ho to kya malum
bahte aks un ke tair-e-taKHil ke shahpar se lipTe sath aa jaen
ye gahre bhed mere hath aa jaen
(879) Peoples Rate This