Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9d70e9d5ca17da21686918634ce7b9eb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Nafi Mein - Daniyal Tareer Poetry In English - Darsaal

Main Nafi Mein

nahin main nahin hun

kisi dusre ne mujhe main kaha hai

to mein ho gaya hun

nafas khinchta hun

magar zindagi meri KHwahish nahin hai

mujhe zindagi ne chuna hai

lihaza mere faisle zindagi kar rahi

main rota nahin hun

meri aankh se os ke phul

gham ki hawaen giraati hain

kaliyan hansi ki

mere lab pe khilti nahin hain

KHushi ki bahaaren khilati hain

KHud aati jati hain dil mein tamannaen

main kab bulata hun

(meri kamai

faqat na-rasai hai)

main ne mohabbat bhi kab muntaKHab ki hai

us ne mujhe apni fahrist mein likh liya hai

mujhe KHwab aate nahin hain

so KHwabon ne tai kar liya hai

ki aainda wo meri aankhon ke boson se

koson ke lambe safar par chalenge

nahin main kawi bhi nahin hun

mujhe nazm likhti hai

main nazm likhta nahin hun

(1046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Nafi Mein In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Main Nafi Mein is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Main Nafi Mein for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Main Nafi Mein in PDF.