Ek Sab Aag Ek Sab Pani
hamare gham juda the
qarya-e-dil ki faza aab o hawa
mausam juda the
sham tere jism ki diwar se chimTi hui thi
mujh ko kali raat khati thi
tujhe aawaz deti thi tere andar se uThti huk
mujh ko bhuk meri ruh se bahar bulati thi
tujhe panw mein paDti beDiyon ka rog lahaq tha
mujhe aazadi pe shak tha
tujhe apnon ne apne gher ka qaidi banaya tha
mujhe be-rishtagi ne zat ka bhedi banaya tha
musalsal likh par gardish mein rahna nachna
tera watira tha
meri ek apni duniya thi
mera apna jazira tha
koi dariya tha apne bich
hum donon kinare the
alag do kahkashaen thin
jahan ke hum sitare the
(1932) Peoples Rate This