Ye Moajiza Bhi Dikhati Hai Sabz Aag Mujhe
ye moajiza bhi dikhati hai sabz aag mujhe
paron baghair uDati hai sabz aag mujhe
main aayaton ki tilawat mein mahw rahta hun
har ek bala se bachati hai sabz aag mujhe
har ek shaKH pe rakhti hai zard qindilen
phir us ke baad jalati hai sabz aag mujhe
mein aab-e-surKH mein jab KHwab tak pahunchta hun
to mere samne lati hai sabz aag mujhe
hinai panw ragaDte hue na ghas pe chal
tujhe KHabar hai ki bhati hai sabz aag mujhe
main jab bhi jalte hue koelon pe sota hun
to aasman se bulati hai sabz aag mujhe
zamin pe nag hain aur un ke munh mein KHwab ki lau
kahaniyon se Daraati hai sabz aag mujhe
(975) Peoples Rate This