Ujala Hi Ujala Raushni Hi Raushni Hai
ujala hi ujala raushni hi raushni hai
andhere mein jo teri aankh mujh ko dekhti hai
abhi jaga hua hun main ki thak kar so chuka hun
diye ki lau se koi aankh mujh ko dekhti hai
tajassus har ufuq par DhunDhta rahta hai us ko
kahan se aur kaisi aankh mujh ko dekhti hai
amal ke waqt ye ehsas rahta hai hamesha
mere andar se apni aankh mujh ko dekhti hai
main jab bhi raste mein apne pichhe dekhta hun
wahi ashkon mein bhigi aankh mujh ko dekhti hai
kahin se hath baDhte hain mere chehre ki jaanib
kahin se surKH hoti aankh mujh ko dekhti hai
darKHto mujh ko apne sabz patton mein chhupa lo
falak se ek jalti aankh mujh ko dekhti hai
(841) Peoples Rate This