Shahr Se Kya Gai Jaanib-e-dasht-ezar Zindagi FaKHta
shahr se kya gai jaanib-e-dasht-ezar zindagi faKHta
bain karne lagi aa ke sham-o-sahar matami faKHta
mar gaya raat ko barf oDhe hue ek footpath par
wo jo kahta raha lafz wo umr-bhar shanti faKHta
kaisi kaisi hawaen chalin bagh mein kaun aaya gaya
sari tabdiliyon se rahi be-KHabar bawri faKHta
wo nagar chand ka hai wahan teri kirnon ki KHwahish kise
is taraf tirgi hai yahan la ke dhar tashtari faKHta
be-aman shahr mein kaisi dahshat se guzri thi main kya kahun
jab adu dekhti apne hi baal-o-par nochti faKHta
wo jo aankhon mein thi koi duniya alag thi jahan se juda
mere KHwabon mein the amn ka rahbar raushni faKHta
main tha shair mujhe shahr-ashob likhne the likhta raha
teri qismat mein likhe gae kyun khanDar sundari faKHta
(1031) Peoples Rate This