Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_da3753629e2767b19f754233f7a098e0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ret MuTThi Mein Bhari Pani Se Aaghaz Kiya - Daniyal Tareer Poetry In English - Darsaal

Ret MuTThi Mein Bhari Pani Se Aaghaz Kiya

ret muTThi mein bhari pani se aaghaz kiya

saKHt mushkil mein tha aasani se aaghaz kiya

mujh ko miTTi se badan bante hue umr lagi

meri tamir ne virani se aaghaz kiya

ye jahanon ka zamanon ka makanon ka safar

ghaib ne lafz se ya mani se aaghaz kiya

jab bhi ye aankh anasir ki taraf dekhti hai

yaad aata hai pareshani se aaghaz kiya

jism aur ism mujhe kaise mile kis ne diye

in sawalat ki hairani se aaghaz kiya

ek KHamosh samundar tha mere chaar taraf

jis mein aawaz ne tughyani se aaghaz kiya

mujh ko bad-surati-e-jism ka andaza hai

main ne aaina-e-uryani se aaghaz kiya

(1048) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ret MuTThi Mein Bhari Pani Se Aaghaz Kiya In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Ret MuTThi Mein Bhari Pani Se Aaghaz Kiya is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Ret MuTThi Mein Bhari Pani Se Aaghaz Kiya for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Ret MuTThi Mein Bhari Pani Se Aaghaz Kiya in PDF.