Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bc79048daa8fe0218ecc045870f167e9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rang Aur Nur Ki Tamsil Se Hoga Ki Nahin - Daniyal Tareer Poetry In English - Darsaal

Rang Aur Nur Ki Tamsil Se Hoga Ki Nahin

rang aur nur ki tamsil se hoga ki nahin

shab ka matam meri qindil se hoga ki nahin

dekhna ye hai ki jangal ko chalane ke liye

mashwara richh se aur chil se hoga ki nahin

aayat-e-tira-shabi paDhte hue umr hui

samna ab bhi azazil se hoga ki nahin

zard miTTi mein utarti hui ai qaus-e-quzah

KHwab paida teri tarsil se hoga ki nahin

os ke phul mahakte hain teri aaankhon mein

in ka rishta bhi kisi nil se hoga ki nahin

jab suKHan karne lagunga main tujhe asr-e-rawan

istiara koi injil se hoga ki nahin

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang Aur Nur Ki Tamsil Se Hoga Ki Nahin In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Rang Aur Nur Ki Tamsil Se Hoga Ki Nahin is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Rang Aur Nur Ki Tamsil Se Hoga Ki Nahin for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Rang Aur Nur Ki Tamsil Se Hoga Ki Nahin in PDF.