Nai Nai Suraten Badan Par Ujalta Hun
nai nai suraten badan par ujalta hun
lahu se kaise ajib manzar nikalta hun
wo dil mein utren to ek ho jaen raushni den
dhanak ke rangon ko apni aankhon mein Dalta hun
zamin talwon se aa chimaTti hai aag ban kar
hatheliyon par jab aasman ko sambhaalta hun
hawa mein thoDa sa rang utre so is liye main
gulab ki pattiyan faza mein uchhaalta hun
koi nahin tha jo is musalsal sada ko sunta
ye main hun jo is diye ko suraj mein Dhaalta hun
'tarir' sanson ka rang nila hua to jaana
KHabar nahin thi ye sanp hain jin ko palta hun
(886) Peoples Rate This