Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f50bb9e2eae33768f31f95b72c205fcb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
MiTTi Tha Aur Dudh Mein Gundha Gaya Mujhe - Daniyal Tareer Poetry In English - Darsaal

MiTTi Tha Aur Dudh Mein Gundha Gaya Mujhe

miTTi tha aur dudh mein gundha gaya mujhe

ek chand ke wajud mein gundha gaya mujhe

main nist aur nabud ki ek kaifiyat mein tha

jab wahm-e-hast-o-bud mein gundha gaya mujhe

main chashm-e-kam-rasa se jise dekhta na tha

us KHwab-e-la-hudud mein gundha gaya mujhe

KHas-KHana-e-ziyan ki shararbariyon ke baad

yaKH-zar-e-nar-e-sud mein gundha gaya mujhe

ek dast-e-ghaib ne mujhe la chaak par dhara

phir waqt ke jumud mein gundha gaya mujhe

is mein to aasman ke shajar bhi samar na den

jis KHak-e-be-numud mein gundha gaya mujhe

qaus-e-quzah ki samt bahut dekhta tha main

aaKHir ghubar-o-dud mein gundha gaya mujhe

(1179) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MiTTi Tha Aur Dudh Mein Gundha Gaya Mujhe In English By Famous Poet Daniyal Tareer. MiTTi Tha Aur Dudh Mein Gundha Gaya Mujhe is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem MiTTi Tha Aur Dudh Mein Gundha Gaya Mujhe for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download MiTTi Tha Aur Dudh Mein Gundha Gaya Mujhe in PDF.