Koi Siwa-e-badan Hai Na Hai Wara-e-badan
koi siwa-e-badan hai na hai wara-e-badan
badan mein gunj rahi hai abhi sada-e-badan
ajab hai shahr magar shahr se bhi log ajab
udhaar mang rahe hain badan bara-e-badan
jahan ThiThurti tamanna ko aag tak na mile
wahan pe kaun Thaharta hai ai sara-e-badan
kahin chamakti hui ret bhi dikhai na di
kahan gaya wo samundar sarab khae badan
charagh ban ke chamakte hain rose sham Dhale
hamare pahlu mein soe hue parae badan
har ek rah mein bikhre paDe hain barg-e-nafas
yahan chali hai bahut din talak hawa-e-badan
wo apni qaus-e-quzah le gaya to kya hoga
'tarir' ghaur-talab hai teri faza-e-badan
(908) Peoples Rate This