Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c6b972425ebc4c48c347bffad06becff, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gaya Ki Sail-e-rawan Ka Bahaw Aisa Tha - Daniyal Tareer Poetry In English - Darsaal

Gaya Ki Sail-e-rawan Ka Bahaw Aisa Tha

gaya ki sail-e-rawan ka bahaw aisa tha

wo ek KHwab jo kaghaz ki naw aisa tha

kisi ko bhi na tha aasan sans ka lena

meri zamin pe hawa ka dabaw aisa tha

lahu ki dhaar salamat rahi na sans ka tar

mujhe jo kaT gaya wo kaTaw aisa tha

wo TimTimata to us ki ziya bhi kam paDti

kisi diye se lahu ka lagaw aisa tha

wo ek tha jo mujhe chaar-su dikhai diya

main jang haar gaya hun ki daw aisa tha

mujhe to laj ke ujle libas mein wo badan

gulab barf mein jaise chhupao aisa tha

bane hain nag mere ban mein peD jitne the

lagi hai aag saba ka subhaw aisa tha

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gaya Ki Sail-e-rawan Ka Bahaw Aisa Tha In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Gaya Ki Sail-e-rawan Ka Bahaw Aisa Tha is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Gaya Ki Sail-e-rawan Ka Bahaw Aisa Tha for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Gaya Ki Sail-e-rawan Ka Bahaw Aisa Tha in PDF.