Chand Chhune Ki Talabgar Nahin Ho Sakti
chand chhune ki talabgar nahin ho sakti
kya meri KHak chamakdar nahin ho sakti
ho na ho apni basarat ne mujhe roka hai
ghaib jate hue diwar nahin ho sakti
jitni peDon mein nazar aati hai taqlib ke baad
ye zamin itni pur-asrar nahin ho sakti
main ne DhunDa hai charaghon ki lawon mein tujh ko
tu sitare mein numudar nahin ho sakti
ye zaminon pe lahakti hui gandum ki mahak
aasmanon ki taraf-dar nahin ho sakti
main kise KHwab sunane ke liye aaya hun
shab agar nind se bedar nahin ho sakti
jis ne aansu pe qanaat ka chalan sikha ho
wo nazar KHugar-e-dinar nahin ho sakti
(921) Peoples Rate This