Ba-tarz-e-KHwa Sajaani PaDi Hai AaKHir-kar
ba-tarz-e-KHwa sajaani paDi hai aaKHir-kar
nai zamin banani paDi hai aaKHir-kar
tapish ne jis ki mujhe kimiya banana tha
mujhe wo aag bujhani paDi hai aaKHir-kar
bahut dinon se ye miTTi paDi thi ek jagah
har ek samt uDani paDi hai aaKHir-kar
jahan pe qasr banae gae the kaghaz ke
wahan se rakh uThani paDi hai aaKHir-kar
wo panw bhige hue dekhne ki KHwahish mein
chaman mein os bichhani paDi hai aaKHir-kar
mere badan ki ziya baDh gai thi suraj se
lahu mein raat milani paDi hai aaKHir-kar
zamin pe dagh bahut paD gae the KHun ke dagh
falak ko barf girani paDi hai aaKHir-kar
(841) Peoples Rate This