Ajab Rang-e-tilism-o-tarz-e-nau Hai
ajab rang-e-tilism-o-tarz-e-nau hai
diya hai aag ka miTTi ki lau hai
mujhe sun lengi to dekhengi aankhen
meri aawaz mein suraj ki zau hai
rikab aur bag qabu mein nahin hain
ye asp-e-waqt kitna tez-rau hai
meri tarif ke hain do hawale
qadam aflak par muTThi mein jau hai
nahin hai hurriyat ki koi qimat
magar pinjre ki qimat chaar sau hai
main kya hariyaliyon ki aas bandhun
zamin ke sath sapna bhi giro hai
'tarir' aansu hain aur dhundhlahaten hain
ye kaisi kahkashaon ki jilau hai
(997) Peoples Rate This