Kahani Ek Raat Ki
sun raha hun der se dhimi si dastak ki sada
kaun hoga is andheri raat mein
hoga koi
ajnabi rahi ki dastak to nahin
jo kisi pur-haul sae ke lapakte qahqahe ki gunj se
bach ke aa nikla hai mere KHana-e-tarik tak
waqai wahshat-zada hoga agar rahi koi
is qadar mohtat si aawaz kyun
is qadar dhimi si chap
nim ki shaKHon ke pichhe uf ye kaunde ki lapak
aur uDte abr-paron ki garaj
tez-rau aandhi ke qadmon ki ye bhaari aahaTen
tez barish ke hain aasar-e-muhib
bhig jaega koi
band darwaze ko ab to khol dena chahiye
jaane phir ye kaun apni saKHt banhon mein
jakaDta hai mujhe
jaane kyun ruk ruk gae mere azaem ke qadam
kaun hai is hajla-e-tarik mein mere siwa
jaanta hun mashriqi ruKH par tipai ke qarib
sham ko jalta raha aahista bosida charagh
ab wahan tak ja sakunga kis tarah
saebanon se pighalti be-karan zulmat ki rau
baDh gai hai toD kar sare hudud
chiKH kar kis ko pukarun kis ko main aawaz dun
nim ki larzida shaKHon mein garajta hai ufuq
shor baDhta ja raha hai kya karun
aur wo dastak ki dhimi si sada
ghaaliban ta-hashr ubhregi nahin
kya bhayanak raat hai
(899) Peoples Rate This