Kuchh Apne Daur Ki Bhi Kahani Likha Karo
kuchh apne daur ki bhi kahani likha karo
patthar ko mom KHun ko pani likha karo
jiddat ki rau mein log kahan se kahan gae
tum se bane to baat purani likha karo
wo ahd hai ki shola-fishan bijliyon ko bhi
ghazlon mein rang-o-nur ki rani likha karo
lafzon ko apne asl maani se aar hai
ab doston ko dushman-e-jaani likha karo
hai be-hison ki bhiD na hoga koi asar
aKHbar mein hazar girani likha karo
likhne ke waste koi unwan chahiye
fariyaad-o-ah-o-ashk-fishani likha karo
shohrat ke KHwastgaro mera mashwara hai ye
'ghaalib' ka apne aap ko sani likha karo
'danish' zah-e-nasib mile zaKHm-e-lala-rang
har zaKHm-e-dil ko un ki nishani likha karo
(848) Peoples Rate This